Tumhe Koi Naya Pasand Aa Gaya Hai Na?
By shivam maurya
Main kuch bhi karunga tumhare liye
Kam pad jayega
Tumhe koi naya pasand aa gaya hai na ab
Puraana kahan nazar aayega
Mujh mein kamiyan dikhne lagengi
Jo pehle khasiyat bataayi thi tumne
Main sochunga meri galti hai
Par sacchaayi hogi kuch aur asal mein
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box